Wednesday 27 April 2016

Romantic sayri (55)

           Romantic sayri


     Pyara sa ehsas ho tum,
     har pal mere pas ho tum,
        Jine ki ek aas ho tum,
    mann ka ek vishwas ho tum,
       Shayad is liye....
            Kuch khas ho tum.




   Dil ki batein aakhon se kahi jati hai,
  Bol dhadkan se sune jate hai,
   Aap toh nadan hai jo saaf sunna chahte.    hai,
      Ishq ke jazbat toh sirf mehsoos kiye.        jate hai…





Zindagi ke liye jaan zaruri hai,
Pane kle liye arman zaruri hai,
Hamare paas chahe ho kitna hi gham,
Par aapke chehre par muskan zaruri hai






Dil Ne Kaha Yaad Karte Rehna,
Mann Hi Mann Baat Karte Rehna,
Wo Hamare Dard Ki Fariyad Sune Na Sune,
Apna To Farz Hai Unhe Pyar Karte Rehna




N

Unhe ye shikaayat hai hamse,
ki hum har kisi ko dekh kar
mushkurate hain,
nasamajh hain wo kya jaane,
hame to har chehre me wahi
nazar aate hain…








Jee chaahta hai tumse pyari si baat ho,
khaamosh taare aur lambi si raat ho,
phir saari raat tumse hum kahte raheN,
ki tum meri zindagi tum meri qayenaat ho.









Raat hogi to chand duhai dega,
Khawabon mein aapko woh chehra dikhai dega,
Ye mohabbat hai zara sochke karna,
Ek aansoo bhi gira to sunai dega.








Roz hota hai tarruf mera teri yadon se,
chhalakta hai noor tera meri Ankhon se,
tadap raha hoon main aur ab ye Alam hai,
aur intezaar nahi hota ab meri sason se





Haqeeqat karo byaan to mazaak lagta hai,
ibadat karo jab to jhootha khwab lagta hai,
Are ye dil hai dil, aur dil ki hai ye sdaa,
aur tum kehte ho ki tumhe ye haseen ittfak lagta hai.







Aakhon ki zuban wo samajh nahi pate, honth hain magar kuch keh nahi pate, apni bebasi kis tarah kahen,
koi hai jinke bina hum reh nahi paathe.









Badi gahrai se chaha hai tujhe,
Badi duaon se paya hai tujhe,
Tujhe bhulane ki sochun bhi to kaise
Kismat ki lakiron se churaya hai tujhe…







Kuchh Chehray Bhulaye Nahin Jaatay,
Kuch Naam Dil Se Mitaye Nahi Jaatay,
Mulaqat Ho Na ho..Leikin ae yaar…
Pyaar ke Chiragh Kabhi Bujhaye Nahin Jaatay…








Apni har ek saans teri ghulam kar rakhi hai,
logon me ye zindagi badnam kar rakhi hai,
aaina bhi nahi ab to kisi kam ka…
hamne to apni parchhayi bhi sanam tere naam kar rakhi hai…









Nazar jab mili to fasaane hue,
Ek pal mein hum aapke deewane hue,
Jab se aaye hain aap hamari zindagi mein,
Andaaz hi hamare kuch shairana hue.












Kisi ek se karo pyaar itna,
Ke kisi aur se pyaar karne ki
gunjaish na rahe,
Woh muskurade aap ko dekh kar ek bar,
Toh zinadgi se phir koi khwahish na rahe…








Aaj har ek pal khoobsurat hai Dil main teri sirf teri surat hai,
Kuchh bhi kahe ye duniya gham nahin Duniya se zyada humko teri zarurat hai.








Aaj har ek pal khoobsurat hai Dil main teri sirf teri surat hai,
Kuchh bhi kahe ye duniya gham nahin Duniya se zyada humko teri zarurat hai.











Har Khushi Se Khoobsurat Teri Sham Kar Doon,
Apna Pyar Aur Dosti Tere Naam Kar Doon,
Mil Jaye Agar Dubara Yeh Zindagi,
Har Baar Main Yeh Zindagi Tere Naam Kar Doon…





Share:

0 comments:

Post a Comment